Blogging Business Technology

Free Me Website Kaise Banaye or paise kaise kamaye janeya pure detail me.

Written by hassanraza513

Contents

FREE ME WEBSITE KAISE BANAE

Learn2this.com FREE ME WEBSITE KAISE \BANAY
Website banane ke liye Kya-Kya Chahiye ?
1. Ek Gmail account.
2. Computer ya Moblie aur Internet connection ke jaarurat hoge.

3.aagar apke pass ye 👆 details hai To ap Free website bana kar paise bhi kama skte hai apne website se.

Website Banane ke steps:

1. Sabse pehle apko www.blogger.com website ko open karna hai.
2. Fir aap waha apni Gmail Id aur password daal kar login kare.
3. Uske baad apke saamne jo page open hoga waha ek “Add New Blog” ka button hoga, waha pe click kare.
4. Ab apse sabse pehle wo blog ka title puchhega, uske baad URL puchhega.
(Title means aap apne blog ka kya naam rakhna chahte ho, jaise es blog ka hamne name rakha hai – PAISA KAMAE
(URL ka matlab hota hai apne blog ke liye address select karna, for example:example.blogspot.com)
5. Title aur URL dalne ke baad apko niche bane box me se koi bhi simple sa template select karna hai aur “Create Blog” wale button pe click karna hai.
Lijiye Apka blog taiyar ho chuka hai. Ab aap apna blog apna URL daal ke open karke check kar sakte hai.
Video se blog/website banana sikhe:
Dosto, jo abhi tak apne sikha wo es video me dikhaya gaya hai to aap es video ko jarur dekhe ta ki apko aur bhi asaani ho apni website banane me.
Domain (.COM ya koi aur TLD) Kaise Jode?
Yaha hamne apni website bana li hai lekin es website ke address ke last me .blogspot.com rahega. Agar aap chahte ho ke aap ki website bhi professional dikhe aur wo dot COM extension pe khule.
Matlab, xyz.blogspot.com ki jagah pe xyz.com se khule.
To eske liye apko apna ek domain book karna hai aur fir apni website ko us domain se jodna hai. Ye bhi bahut asaan hai to chaliye ye bhi sikhte hai ab.
Important message:
Domain book karna jaruri nahi hai, eske bina bhi aap apni website se paisa kama sakte hai, lekin agar aap apni website ko professional banana chahte hai to fir domain jarur book kare.
Domain book karne ke liye sabse pehle ham domain sell karne wali company ki website pe jayenge.
Mai hamesha Godaddy ya Bigrock se hi domain buy karta hu. To es post ham Godaddy se dot COM domain buy karna sikhenge.
Eske liye kya kya chahiye hoga?
1. ₹300 rupees domain le ap cheapest price me contact Details:- 8233379204

Note:- sab se Cheap Prices me mil jaye ga apko Dot com sirfe ₹300 me GoDaddy account par. Contact kare es number per:- 8233379204 is se sasta domain koi nahi deta hai balke khud GoDaddy bhi nHi dete hai.

2. Payment method available hai. PayPal, credit Card, Debit card, Google pay (G-pay), phonepe, paytm and all payments method available.
Sabse pehle ham Godaddy ki website pe jayenge.

1. Godaddy.com site open kare.
2. Ab Sign In pe click karke, fir “Create a New account” pe click kare jaise ki es image me dikhaya gaya hai.
3. Ab jo registration form open hoga usme apni detail daliye. Apko email ayega aap use verify kar lijiye.
4. Ab ham dubara se Godaddy ke homepage pe ayenge aur apni manpasand domain ko search karna shuru karenge.
5. Next page pe apko aur bhi services buy karne ko bola jayega lekin apko “No Thanks” karna hai.
6. Uske baad apko apne domain ka term select karna hai ki aap use 1 saal ke liye book karna chahte hai ya 2 saal ke liye. Neeche diye gaye picture ko dhyan se dekhiye.
7. Uske baad “Proceed to Checkout” pe click kare.
8. Ab aap billing address me apna poora adress likhe aur continue to payment kare.
9. Ab aap koi bhi payment mode select kar sakte hai jaise ki Net Banking, ATM/Debit Card, uske baad aap payment complete kare.
10. Aur apki domain book ho chuki hai.
Domain to Apni Blogger ki Website se kaise jode:
Abhi sirf domain book hua hai, site se jodna baki hai. To chaliye dosto ab wo bhi sikhte hai der kis baat ki.
1. Sabse pehle Godaddy pe apna account Login kare aur “My Domain” section me jaye.
https://dcc.godaddy.com/manage/
[Agar koi pareshani hui to aap es link ko copy paste kar ke apne domain wale section me ja sakte hai.]
2. Ab settings pe click kare aur “Manage DNS” pe click kare.
3. Ab apko Blogger me login kar ke apne blog ki settings me jaye. Ab ” +Setup a 3rd party URL to your blog” pe click kare.
4. Next page me apko apna domain daal kar save karna hai, domain ke aage www lagana jaruri hai, lekin wo apko error batayega aur apko CNAME records add karne ko bolega.
5. Niche diye gaye image ko dhyan se dekhiye apko Name, Label, or Host field aur destination address dikhega.
Ab in dono details ko hame Godaddy ka jo DNS manage wala page hamne open kiya tha waha add karna hai.
6. DNS add karne ke liye pehle checkbox me “CNAME (alias) ko select kare, fir name me www dale fir value me jo value hame blog ke sttings wale page me di gayi hai use copy paste kar ke daale.
Yahi step apki dusri baar bhi dohrana hai lekin yaha apko values ko change karna hai means www ki jagah pe dusrana name aur value me ham dusri value dalenge jo hamko blog settings me diya gaya hai.

TTL ko1 hour he rakhna hai.

Kuchh records apko pehle se hi dikhenge unhe kuchh nahi karna hai sirf apko ye do naye records add karne hai.
7. Dubar ham blog ki setting me jayenge aur apna domain add karenge aur es bar hamara domain add ho jayega.
Means ab aap jo bhi kam kroge blog pe wo apko apke domain pe dikhayi dega.
Ek aur baat yaha apka domain sirf www lagane se hi open hoga, agar aap chahte hai ki apka domain www ke bina bhi open ho to apko fir se blog settings me jaana hai aur domain ko edit karna hai waha apko ek check box dikhayi dega, “Redirect yourdomain.com to www.yourdomain.com” use select akr dena hai aur ho jayega.
8. Ab hamari website poori tarah se tayar ho chuki hai professional look ke sath.
To dosto apko ye guide kaisa laga apna feedback jarur de aur apne dosto ke sath bhi jarur share kare taki ham es education ko sab tak pahucha sake aur apne mission ko achieve kare. Share karne ke liye aap niche diye gaye share buttons ko use kar sakte hai.
Dosto, es tarike se ham web designer ko website banane ke liye dene wale paise bhi bacha lenge aur chahe to dusro ki help bhi kar sakte hai aur ap unse eske liye apni choti c fees bhi rakh sakte hai.
Dosto hamara mission ha India me Internet earnings ke bare me awareness failana aur logo ko online income kamane ka sahi rasta dikhana, aur esme hame apki help aur support ki jarurat padegi kyo ki ham apki support ke bina kuchh bhi nahi hai.

Ab ap apne blogger se earning kar skte ho wo bhi unlimited.

Leave a Comment