Lifestyle

Islam ki kuch Galat Baatein Jo Aapko Hairan Kar Degi

Written by hassanraza513

Islam se Juri Galat Fahmiya aur un ke Jawab: by Dr. Muhammad Sami

SawalKya Islam Janwaro ko marnne (Jeev hattya) ka huqm deta he ? Kya Musalman ko mans khana zaruri he ? Kya bina mans khaye koi insan sacha musalman nhi ho sakta ?

Jawab – Pahle jeev hattya kya he yeh jan lete hein –
Jeev hattya – jis me jan ho use jeev (jandar) kahte hein. Kisi jeev ko marna hi jeev hattya kahlata he.
Sabhi jante hein Janwar yani sher, bakri, unt, hiran wagera ke sath sath pedh – podhe bhi jeev hein kyoki in me bhi jan hoti he.
Agr jeev hattya ki definition par gaur karein to pata chala ki sirf janwaro ko marna hi jeev hattya nhi he, pedh – podho ko katna bhi jeev hattya he. Lekin nafrat failane wale log sirf janwaro ke marne ko hi jeev hattya kahte hein aur ise musalmano se jodte hein.
Janwaro ko marna ya Jeev hatya ko Sirf musalmano se jodna sahi bat nahi. Kyoki duniya ke lagbhag sabhi dharmo ke log mans (gosht) khate hai.
Islam mans ke bare me kya kahta he dekhte hein
Qur’an me he –
“E logo khao Jo zameen me halal pakeeza (jayez- pavitr) hai”
– Qur’an 2:168

“Aur chopaye paida kiye in mein tumhare liye garm libas aur manfaate (kam ki) hai aur in me se khate ho”
– Qur’an 16:5

“Aur beshaq tumhare liye chopaye main samjhne ka makam he, hum tumhe pilate hein, is me se jo inke pet me hai (doodh) aur tumhare liye inme bahut fayede hein aur inme tumhari khurak hai”
– Qur’an 23:21

In ayato se pata chalta he ki Islam mans khane ki ijazat deta hai. Ha is ka matlab yah nhi he ki mans kahna zaruri he.

Mans aur insan ke danto ki khasiyat –
Insan me chapte aur nukile (canine) dono tarha ke dant paye jate hein jabki baki jandaar jaise- khargosh, gaye, bhains, bakri wagera me chapte dant hote hai aur bhediya bagh, sher, cheeta wagera me nukile dant bhi hote hai. Yaha matlab yeh nikalta hai ki ghans funs khane wale k liye chapte dant aur mans khane wale k liye nukile dant hein. Jabki insan me Allah ne ye dono khasiyate di hai, Saag sabji khane ke liye patle dant aur mans khane ke liye nukile dant.
Is tarha ham kah sakte hein ki insan ko Allah ne sarvahari banaya hai. Jo chahe mans khaye jo na chahe na khaye. Yani pahle se hi sabhi log mans khate chale aa rahe is liye sirf musalmano par is ka ilzam lagna achi bat nhi he.

Kya bina mans khaye koi insan sacha musalman nhi ho sakta ?
Agar sirf saag sabji khane wale ko shakahari kahte hai to esa kahi nahi hai ki shakahari musalman nahi ho sakta. Qur’an main Allah ne mans khane ki Sirf ijazat di hai koi qanoon nahi bataya hai. Ese anginat musalman he jo mans nhi khate or sachche musalman hai. Balki Sufism me to mans se parhez bhi kiya jata he.
__________________
Spiritual Mission Whats-app broadcasts

Agr aap Hamari broadcast list mein join hona chahte hein to +919720582106 is number ko Spiritual Mission naam se save Karein aur apni detail send karein.
Detail
1. Your name
2. City name
3. State/Country name .

Join Spiritual Mission on
WhatsApp group
https://chat.whatsapp.com/Ke2D5ZE7yX025mFRs8rFPw
YouTube
https://www.youtube.com/channel/UCKJPls5Wk0T3jDb-YwpYu3g
Facebook
https://www.facebook.com/spiritualmission786/

Leave a Comment