Lifestyle

Kya Islam ne aurat ko parde ki char diwari me qaid karke uski Azadi aur padhai-likhai par pabandi lagai he ?

Written by hassanraza513

Islam se Juri Galat Fahmiya aur un ke Jawab by Dr. Muhammad Sami

Sawal – Kya Islam ne aurat ko parde ki char diwari me qaid karke uski Azadi aur padhai-likhai par pabandi lagai he ?

Jawab
Arbi me aurat ka matlab hi parda hai. iska matlab chipana bhi liya ja sakta hai.
Islam ne kabhi ladkiyo ki padhai-likhai par pabandi nahi lagai. Islam ke mutabiq aurto – ladkiyo ko parde me rehkar taleem leni chahiye.
Pegambr Mohammad ﷺ khud Quba ki masjid me jakar bachcho or ladkiyo ko padaya karte the.

Aurto se pahle Mardo ke liye Parde ka huqm
Aam taur par parde ka talluq sirf aurto se hi samjha jata hai jabki Islam ne parde ka huqm aurat se pahle aadmi ko diya he. Islam kehta hai ki mard apni ankho ka parda kare, matlab apni nazro ko nichi rakhe aurto ki taraf gandi nazar se na dekhe.

“Musalman mardo ko huqm do apni nigahe kuch neechi rakhe.”
Qur’an 24:30
(kanzul imaan)
Aurto ke liye parde ki bat kare to islam ne aurat ko samaj ki buri nazro se bachaya use parde me chipaya.
Qur’an kehta he –

“Apne shohar, baap, beto, bhaiyyo. . . ke alawa apna singar na dikhaye.”
Qur’an 24:31
(kanzul imaan)
Is liye hum keh sakte he ki aurat parde ke zariye apne jism aur us ke banao singar ko dhakti hai.
Roz ki media ki khabro se hum andaza laga sakte he ki parda karne wali ladkiya ya bina parda karne wali ladkiyo me se kis ke sath zyada ched chad hoti hai. Kis ke sath badtamizi ya galat kam hota he.

Bina parde ke aurat ke liye fayde ya nuksan

Pahle ek waqt esa tha ki sirf musalman hi nhi dusre dharmo ke log bhi parde ko apnate the, lekin aaj parde ki to boht dur ki bat din ba din behayai – badhati – nangepane ko apnaya ja raha he. Apni nazro ko niche rakhne ki bajaye aurat ko ankhe fadh – fadh ke gandi nazro se dekhna aam bat he. Aaj aurat ko sirf khilona bana kar rakh diya gya he. Behayai – nangepane ko failane ke liye use media ke bazar me utarna aur jism ki zarurat puri karne ke liye aaj aurat ko ek machine bana kar rakh diya gya he.
Aaj maa – baap modern hone ke naam par apni larki ko battamizi bhare kapre pahnane me faqr mahsus karte hein. Larkiyo – aurto me jo sharm Nam ki chiz thi aaj khtam hoti ja rahi he. Fashion ke Nam par behayai – nangepane ko apnaya jaa raha he.
Badtameezi, chedkhani ya balatkar jesi wardato ke liye niche likhi teen bate khas tour par zimmedar he –

1- Media ka behayai – nange pane ko badawa dena.
2- Mardo ki buri nazar.
3- Logo ka fashion ke nam par nange pane or behayai ko apnana.

Kya Islam aurto par parde ko thopta hai

Ye ilzam bhi islam par lagana thik nahi he kyonki islam ko sikhane or apnane ke liye kisi par zor zabardasti nhi ki jati he. Sirf samjhaya jata he, jise islami taleem ki thik jankari ho jati he vo ise aur iske huqm ko apna leta he.
Koi aurat ya larki parda karti he, to is ka matlab yah nhi he ki use se zabardasti parda Karaya gya he balki vo islami taleem ko apnakar khushi se khud hi parda karti he.
Koi aurat agr parda nhi karti he, to us ka matlab yah he ki use islami taleem ki jankari nhi he.
__________________
*Spiritual Mission* Whats-app broadcasts

*Agr aap Hamari broadcast list mein join hona chahte hein to +919720582106 is number ko Spiritual Mission naam se save Karein aur apni detail send karein.*
Detail
1. Your name
2. City name
3. State/Country name .

Join Spiritual Mission on
WhatsApp group
https://chat.whatsapp.com/Ke2D5ZE7yX025mFRs8rFPw
YouTube
https://www.youtube.com/channel/UCKJPls5Wk0T3jDb-YwpYu3g
Facebook
https://www.facebook.com/spiritualmission786/

Leave a Comment