Health Lifestyle

Stress Free Life Jine Ke Liye Boht Zaruri Batein. Janeya Or Strees Free Ho Jaye.

Written by hassanraza513

Ghussa na karein suqun se rahein.

Nafrat ko apne dil me na rakhein, kyoki yah ek kale dhabbe me badal jaygi Jo bad me ek khatarnak bimari ban sakti he.

Bina kisi bari wajah ke janvaro aur kidho ko na marein.

Mans boht zyda na khaye. medium aur halki diet hi lein.

Natural foods hi khaye synthetic chemical se bache. Mausam ke hisab se hi fal aur sabjiya khaye. Allah ne tomator ko sardio me paida kiya he to yaqinan vo hame sardio me hi fayda dega.

Possible ho to apne khane me Jaitoon ka tail istemal karein aur ise apni jism par bhi lagaye.

Natural sooti/cotton ke hi kapre pahnein synthetic/nilon wagera se bachein.

Apne jism ko bimariyo se bachane ke liye, bimario se shifa pane ke liye shahad ka istemal karein.

Khane ko lambe waqt tak store na karein.

Apne vatan se pyar karein. Jitna possible ho shahr me rahne se bachein. Khastaur par shahro ki raat ki chamak, Bazaar, Shopping-Malls wagera aur logo ki bheedh se bachein.

Apne kaam aur zarurato ke liye sirf admi hi din ke waqt ghr se bahar jaye. Ghar ke admio ko hi vo sab saman kharid kar lana chahiye Jo un ke ghr ke liye zaruri ho. Aurato ko kharidari ke liye bahar nahi jana chahiye. Yeh aurto ki security ke liye zaruri he.

Lagatar Pancho waqt ki namaz padhne ki koshish karein. Ap ki lagatar koshish se ek din esa ayga ki aap bina sajda kare nhi rah sakenge.

Islam, Sahriyat aur Sufism ke bare me aap ko KYO aur KYA alfaz chor dena chahiye.

Mushkil waqt me Musalle par beth jana chahiye aur Allah aur us ke Rasool ﷺ ko yad karna chahiye dua karni chahiye.

Jab aap ghar lotein to Jo kapre aap ne bahtar pahn rakhe the unhe utar dena chahiye aur Gusl/Wudhu karna chahiye. Ghr me vo kapre pahnein jo aap bahar na pahnte ho.

Ghar me sadqe ke liye ek box banye aur roz us me thore rupye dalein. chahein ek rupiya hi kyo na ho. Us box me se sadqa karein. Sadqa mushkilo se bachata he.

Har rat ko Lailatul-Qadr ki rat samjhe aur ibadat karein.

Waqt par shadi karein aur behayai se bachein.

Apni beti ki thik waqt par shadi karein. Is Nek kam me deri na Karein.

Larkio ko un schools me na bheje jaha larke aur larkiya ek sath parte ho.

Karz lene se bachein. Bank loan to bilkul na lein. Apni maali hasiyat ke hisab se hi khushi khushi jine ki koshish karein.

Apne watan ko chor kar bahar na jayein. Apne watan me hi sookhi roti khana bahar jane se bahtar he.

Raat me jaldi soye, subh jaldi uthein aur apne din ki shuruat bhi jaldi karein.

Bekar ki bato me interest na lein aur tension na lein. Jo kam ya bat aap ke liye, logo ke liye ya deen ke liye zaruri nhi he us ki tension lekar apna waqt barbad na karein.

Apne peer ya Maulana se dua karaate rahein ya un ka diya hua tabeez pahnein.

Apne ghar par Zikr-o-Muraqbah karein aur apne shahr me Haftawar Zikr-o-Muraqbah ki mahfil me zaroor shirqat karein.

*Agr aap Hamari broadcast list mein join hona chahte hein to +919720582106 is number ko Spiritual Mission naam se save Karein aur apni detail send karein.*
Detail
1. Your name
2. City name
3. State/Country name .

Join Spiritual Mission on
WhatsApp
https://chat.whatsapp.com/Ke2D5ZE7yX025mFRs8rFPw
YouTube
https://www.youtube.com/channel/UCKJPls5Wk0T3jDb-YwpYu3g
Facebook
https://www.facebook.com/spiritualmission786/

Leave a Comment