Health

Top 2 Basic Physical exercise to think

Written by hassanraza513

Zikr-Muraqbah aur Warzish (physical exercise)

Topic – Zikr-Muraqbah aur Warzish Qur’an-o-hadees ke hawale se.

Aaj ham baat karenge Islamic meditation yani Zikr-Muraqbah aur Physical exercise yani Warzish ki. Sab se pahle baat karte he Zikr ki. Zikr ki kai kisme he magar bunyadi tuar par iski do kisme batai jati hein-

1- Zikre Zahri ya Zikre lisani – buland awaz se ya zuban se Allah ki humdo sana karna zikre zahri ya lisani hai.

2– Zikre Qalbi – dil hi dil me Allah ta’ala ke nam ka tasawwur karna, ese zikr me muh or zuban dono koi harkat nahi karte albatta dil ki dhadkan ke sath zikr karna zikre qalbi kehlata he.
Quran me he –
Tum mera zikr karo me bhi tumhe yad karunga. . . Quran 2:152

Apne Rab ko yad kiya kar apne dil me . . . Quran 7:205

Allah ke zikr se hi dilo ko tasalli hasil hoti he. Quran13:28

Beshak us ne falah pai jo paak ho gaya aur jis ne apne rab ka nam yad rakha aur namz padhta raha. Quran 87:14-15

Ahdees me he –
Jo shakhs Allah ta’ala ka zikr karta he aur jo Allah ta’alaka ka zikr nahi karta un ki misal esi he jese ek zinda ek murda. Bukhari aur Muslim
Jo log Allah ta’ala ka zikr karne me mashgul hote hein, Farishte un ko gher lete hein, Allah ki Rahmat barasne lagti he. Zikr karne walo ko suqun milta he aur Allah ta’ala un ka tazkira farishto ki majlis me farmata he. Muslim sharif

Muraqbah – Kai Scholars ka manna ye he ki Muraqbah bhi ek tarah ka zikr hi he jise dil ke zariye concentration yani tawajjo ke saath kiya jata he. Is tarh zikre Qalbi ko Muraqbah kahne me koi Harj nahi he.
Hazrat Imam Ghazali RA ke Nazdiq Muraqbah ke ma’ne ek dusre ko dekhna ya’ni ye khayal rahna ke Allah ta’ala mujhe dekhta he aur me us ko dekhta hu.
Ye to thi Zikr aur Mraqbah ki bat ab bat karte hein Warzish yani physical exercise ki.

Warzish – Quran aur hadees ke hawale se sab jante hein ki Musalman par Ibadat krna farz, wajib, sunnat va mustahab he. Jo musalman jitna zyda ibadat karta he wo utna hi zyda Allah ka qurb hasil karta. Zikr-o-Muraqbah ke zariye insan ke dil aur dimagi ko taqat milti he aur Namaz esi ibadat he jis me warzish ka bhi fayda milta he. Lekin is ke alawa insan ko aur bhi warzish karni chahiye aur fir ye Huzur ki sunnat se bhi sabit he. Ghudsawari aur Tirandazi bhi ek tarh ki warzish he jo huzur aur sahabeikram kiya krte the. Hadees he –
Tirandazi bhi kiya karo aur Ghudsawari bhimkiya karo. . .
Tirmizi

Is hi tarh teerndazi aur Ghudsawari ka zikr Sahih Bukhari, Sahih Muslim, Jam-e-Tirmizi, SunnanIbn-e-Dawood, Sunnan Nisai, Sunnan Ibn-e-Maja ki kai hadeeso me he.
Is post se aap n Quran-o-Hadees ki roshni me Zikr, Muraqbah aur Warzish ki ahmiyat ko jana.

Agr aap Hamari broadcast list mein join hona chahte hein to +919720582106 is number ko Spiritual Mission naam se save Karein aur apni detail send karein.
1. Your name
2. City name
3. State name .

Join Spiritual Mission on
WhatsApp group
https://chat.whatsapp.com/Ke2D5ZE7yX025mFRs8rFPw

YouTube
https://www.youtube.com/channel/UCKJPls5Wk0T3jDb-YwpYu3g

Facebook
https://www.facebook.com/spiritualmission786/

Instagram
https://www.instagram.com/p/BreMjwJHKTL/?utm_source=ig_share_sheet&igshid=8nvmksyuy011

Leave a Comment